Site icon Youth Ki Awaaz

Kya Hu Main?

Kya hu main, koi kalpana jisse sirf socha ja sakta hai ya koi sachai jisse sirf mehsus Kiya ja sakta hai. Ho sakta hai ki shayad mai koi esa kadva sach hu jisse log na samjh paa rahe hai aur na hi apna paa rahe hai. Aaiye isi ‘Astiva ki Pehchaan’ pe baat karte hai.

Astitva, kya hai astitva. Kya ye vahi hai jisse dundh kar log sanyas le lete hai ya ye vo Hain jisse hum dundh kar hum khush khush jee lete hai. Pata nahi mera is duniya me kya astitva hai aur pata nahi is astitva se main dusro ko raahat pahocha paaungi ya nahi. Ye sawal aap sab ke man me bhi ho sakta hai ki ‘Kya Hu Main’ aur ‘Kyu Hu Main’ .

Javab khud ke andar hi hota hai, bas hame isse vicharna hota hai ki esa kya hai Jo hame is duniya me abhi Tak roke rakh Raha hai, jo hame is duniya me ek jagah de Raha hai. AATMA to hazar hai is duniya me par agar hame bhagwan ne MANUSHYA banaya hai to esa kyu ? Bas yahi sab ke prashan le uttar dhundh kar ham apne aap ko pehchaan sakte hai. 

Insab ko dhundhne vali aap sab me se MAIN BHI EK HU. Aaiye isse ek saath mil kar dhundhte hai.

Exit mobile version