Site icon Youth Ki Awaaz

Hum To “Saman” The Na…

Hum to saman the na…

Didi ke hone par shok manaya gaya,

Mere hone par dhol nagade

Hum to saman the na…

Kisne tay kiya didi ko frok pehnayenge, mujh ko pent shirt

Mujhe to frok bohot bhati thi, didi ki ankhe pant shirt dekh chamak jati thi

Hum to saman the na…

Didi ko school tak na jane diya, mujhe saja dhaja ke school bheja gaya

Didi ko padhna acha lgta tha mujhe to khelna bohot pasand tha 

Hum to saman the na…

School mai mujhe engineer, doctor, pilot banne ko kaha gaya

Meera ko teacher, beautician, ghar ke kaam krne ko

Mai bhi ghar ke kaam sikhna chahta tha

Meera ka sapna engineer banna tha

Hum to saman the na…

Didi ko ghar se bahar jane nhi diya, mujhe kbhi roka nhi gya

Mai bhi ghar mai rehna chahta tha, didi ko sher krna bohot psnd tha

Hum to saman the na…

Didi ko najuk bol ke rona uska kaam hai, mujhe strong bol kar, choot lagne par bhi rone na diya

Didi ki shadi kar di, mujhe bahar pdhne bhej diya

Didi ko padhna tha, mujhe to bas maa ke sath rhna acha lgta tha

Hum to saman the na…

Didi ke pati ab nhi hai wo akeli hai kaise ghar chalaye

Mai bhi yaha akela hu ghar kaise sambhalu

Didi nhi janti bahar ja ke kaise kaam krte hai

Mujhe nhi ata ghar kaise sawarte hai

Hum to saman the na…

Fir didi ko bahar ke or mujhe ghar ke kaam q nahi ate

Wo ro sakti hai 

M q nhi ro skta

Hum to saman the na…

Exit mobile version