Site icon Youth Ki Awaaz

Humara bhavishya!? Our future! (hindi)

According to our constitutions, articles under Fundamental Rights gurantees
-Right to equality
Jaha aaj bhi dharm, jaat, rang k aadhar par bhedbhav hota hai, kya hum sab ek samaan hai?
-Right to freedom
Jaha aaj sach bolne pe kisi ko jail ho jati hai, use maowadi, naxalwadi, yha tk ki atankwadi tak kaha jata hai, aur jo uche pad pr hai, wo betuki aur bematlb ki baate krke logo ko aapas me ladwa rahe hai, aur wo khud bahar arram se ghum rhe hai, kya hum sach me azaad hai?
-Right against exploitation
Jha aaj bhi desh k har kone me “chotu chai lana” ki awazz gunj rhi ho, jha logo ko diye hue kaam krne ke waqt se zyada der tk kaam karwate hai, kya hum shoshan mukt hai?
Aise hi aur v adhikaar hai hamare. Lekin kya azaadi k 70 saal baad bhi uss adhikaar ke hum haqdaar hai?
Jaha hume school me sikhaya jata hai ‘saare jahan se accha, Hindustan humara’, ‘muzhub nahi sikhata, apas me bair rakhna’ aur jaise hi school se bahar nikle ki pichdi hui soch hamare dimaag me ghar kar jaati hai. Kya humara hindustaan saare jahan se accha hai?
Sach to ye hai ki aaj ke hindustaan me mujhe dar lagta hai. Jaha humara samvidhaan hume kuch adhikaar to deti hai, lekin hum unse wanchit reh jaate hai. Mai apne chaaro taraf jo mahaul dekh rah ahu, mujhe dar lagta hai. Saare dharmo ka ek hi mul hai, pyaar, mohobbat, bhaichara, lekin kuch log apne niji faayde ke liye dharmo ka galat istemal karte hai, chahe wo aam aadmi hoy a koi neta. Jis desh me hum eek jut hoke rehna chahiye, waha hum apas me lad rhe hai, mar rhe hai. Yaha logo ko dilasa diya jaa raha hai, ki desh ko aage badhayenge, aur yaha log abhi bhi itihas ko lekar lad rhe hai, ki kya galat tha aur kya sahi, kya hona chahiye tha aur kya nahi, phir bhi school me hume gana gawaya jata hai, ‘chodo kal ki baate, kal ki baat purani, naye daur me likhenge, milkar nayi kahani, hum Hindustani hum hindustani’. Ek waqt tha jab desh ki ladayi atankwaad se thi, wahi atankwaad jiska janm bhi isi adhaar pe hua tha ki humara dharm khatre me hai, humare log khatre hai, aur aaj desh ke bade neta wahi mudda utha rahe hai, aur pure desh me nafrat faila rahe hai. To kya wo atankwadi nahi hue. Desh ki halat aisi hai ki aaj har dusre-tisre ki soch yhi banti jaa rhi hai, aur sacchayi yahi hai, aur mujhe isse darr lagta hai. Mujhe darr lagta hai, kahi kal aisi pichdi hui soch ki wajah se koi mujhe maar na de. Mujhe darr lagta hai, kahi kal aisi soch ki wajah se koi meri jaan na le le. Mujhe darr lagta hai, apne bhavishya ko lekar, apne aane waali peedhe ke bhavishya lo lekar. Desh ke andar aise mahaul me kya humara bhavishya acha aur surakshit hai!?

Exit mobile version