Site icon Youth Ki Awaaz

Pyar Hee Toh kiya koi gunaah toh nahi

Kitni ajib baat hai ki kisi se nafrat kao toh koi baat nahi bas logo pareshani hai toh sirf mohhabat se. Nafrato ka silsila bahut aam hai yaha taklif sirf mohhbato se hai. Jabki pyar to duniya ka sabse hasin jazba hai phir kyu uske bich itni sari diware khadi kar di jati hai. Religion, rich poor, social status sari baate aa jati hai bich mein pyar naa hua koi gunah ho gaya ho jaise.phir shuru hota hai sabka emotional aatyachar ki log kya bolenge samaj kya bolega phir khud ki feelings ki ratti bhar b parwah nahi ki jati or sare riti riwaz or samaj ka darr dikhakr do pyar bhare dilo ko alag kiya jata hai. Phir WO chahe sari umar marr marr kar kyu na jiye samaj me apni naam humesha uchi rakhne ke liye pyar ka balidaan manga jata hai. Do pyar bhare dil do alag dishao me chale hate hai lekin unke dilo me reh jate hai bahut sare sawal or zindagi gujar jati hai. Zindagi unki thi lekin uspar control sabka tha. log, samaj ristedar to apni zindagi me mashroof ho jate hai lekin jinko in sabka wasta dekar alag kiya jata hai unki to duniya hi bikhar chuki hoti hai. Aj b humare samaj me 90% shadiya sirf family ki khushi k liye ki jati hai phir chahe jinki shadi ho rahi hai WO khush ho na ho. 

Jaya Patil.

Exit mobile version