Site icon Youth Ki Awaaz

Dard or lekhak

Me Aapka dost Amit Kumar Aaj is manch se se aapke sath meri lekhak banne ki kuchh paristhitiyo ko sajha karna chahta hu mujhe wishwas he k mere shabd aapke ehsaas ko chhu sakenge.

Dard or lekhak ka lishta sadiyo purana rishta he. Jab hume kisi apne se jise hum apne jivan me sabhi se jyada mahatv dete he wo hi hume dard dejaye tab hriday par chot lagti he or wahi chot janm deti he shabdo ko ehsaaso ko or janm leta ek lekhak. Lekhak banne k liye halato se ghirna jaruri nahi balki un halato se ladke unpe hawi hokar bahar nikalna jaruri he or fir aani kalam ko apni takat banana or naye shabdo ko bunkar hum aage badh sakte he.

Lekhak ek bhawuk vyakti hota he jo har paristhiti ka ehsaas karta he use mehsus karta he uski gehrayi me doob jaata he or fir nikaal k laata he un Navin bhavnao se otprot shabdo ko jinme us ghatna k jivant bhav samahit hote he. Jise bhadh k hume  hus ghatna ko jyo ka tyo ehsaas ho jata he ya yu kahe ki jo ehsaas us samay me us vyakti ko huwa tha jiske sath wo ghatna ghati hogi us ehsaas ko ek lekhak ne piya hoga or usko apne unhi sabdo me pirokar hume us ghana ka jivant ehsaas karaya he.

Dard ka or lekhak ka rishta kalam or syahi ka he dono ek dusre k purak he. Ghatnae paristhitiya or bhav janm dete he shabdo ko or shabdo se banti he kalam or kalam se banta he ek lekhak.

Wese to is shirshak pe jitna vistar se likha jaye utna kam he magar me ise yahi viram deta hu mujhe aasha he k aapko mera ye lekha pasand aaya hoga.yadi pasand aaye to mujhe aapka aashirwad de. 

Dhanywaad,

Aapka 

Amit Kumar

9694537477

 

Exit mobile version