Ek banarasi hone ke wajah se aur yha ki itni vividhtao ko dekhte huye waise likhne ko to hazaro vishay hai lekin bharat me ek sikhte huye lekhak ke liye sbse surakhshit vishay agr koi hai to wo rajneeti hi ho skta hai kyuki jitna hum iske vishay me sunte hai sunate hai dusra koi vishay nhi hai chahe charcha koi bhi ho arthik ,dharmik,samajik sbka nishkarsh aur mool dono rajneeti hi hota hai.
chunki humara desh ek loktanrtik desh hai aur mere hisab se loktantra ki sabse choti branch humare yha ki pan ki dukane hi hai, jitni charcha yha ho jati hai ek ek din me sayad sansad ke pure itihas me na ho, yha to chacha logo ke ek ek lecture me sarkare banti girati hai ab ek banarasi hone ke nate mera ye kartwya ho gya ki in local parliaments me jake haziri lgaye jaye ek charcha me hissa liya jaye kyuki abhi asali parliament me jane layal beiman aur akhand bhrast hone jaisi basic quality nhi aa payi hai…..
To ek din Subh subh pahuche hum bhi 10 bje pahuche( na na maine time galat nhi likha hai ek banarasi ke sath ek engineer bhi hai to humari subh yhi se suru hoti hai) mohhale ki chay ki dukan pe…
Jaise hi humne married womens ki sabse bdi dushman(newspaper) ko uthaya pdhne ke liye (accha newspaper aur tv serial ek dusare ke paryayvachi hai jitni mohhabat puraso ko saliyo se hai utni hai aaurto ko tv serial se aur jitni shikayat puraso ko apne saale se hai utni hi aaurato ko newspaper se) to jaise hi maine newspaper ko uthaya samne se ek chacha aate huye dikhayi diye aur wo bhi mamuli nhi rajniti me ekdum nipud ye to kursi ka lobh nhi hai inko nhi to jane kitne mantri santari pani bharte hai inke yaha,aaj nehru gandhi zinda hote to inko nobel na shi bharat ratna to mil hi gya hota,chacha ji ka bhi apna vyaktitva hai nazaro se kuch chupa nhi hai inke mohhale ka sharma ji se leke mumbai me bacchan ji ke ghr tak kya chal rha hai sab pata hai inko bhale hi khud sharma ji bacchan ji na jante ho,inka suchana tantra aaisa ki ek bar cbi dkhoka kha jaye…ye to chacha ji ka swabhiman hai jo bina kuch puche kuch btate nahi hai, nahi to itna paisa faltu khrch ho rha hai koi ek bar puche to abhi bta de mangal pe pani hai ya nhi….
Ab itne bahumukhi pratibha ke dhani mahapursh samne ho to koi kaise apni zingyasa ko rok ke rkhe humne bhi aav dekha na tav ek yaksh prasan dag hi diya ye bat alag hai ki mahabarat me iska jawab mil gya tha lekin democracy me nhi mil payega janab democracy hai itni to privacy rhti hi hai ,to humne pucha “Chacha ji ye road ki halat bahut kharab hai,kb sudhregi??
Chacha ji ek ekdum seham gye subh subh kadwa such kise hi accha lgta hai bole,”bevkuff kuch bolne se phle soch bhi kiya kro ek hi rahul kafi hai desh me,pta bhi hai tumhe loktantra ke teen pillers hai bijali, pani aur sadak jinme hamesha sudhar zari rhta hai aur inki kami bhi humesha bani rahegi kyuki inke bina chunav hi nhi hota aur smjho chunav nahi hoga to sarkar kaise banegi kaise hoga desh ke mantriyo thekadaro sarkari adhikariyo karmchariyo ka vikas..
Hum bde uljhan me pde loktantra ki aaisi anokhi paribhasa se update na hone ka sara zimma facebook aur whatsapp ke tathakathit reporters pe fodhte huye dusra sawal daga ,”chacha ji ye to ho gye 3 pillar chautha pillar kaun sa hai??
Chacha bde khush huye dono galo pe alag alag khushiya jhalak rahi thi ek gal pe khushi thi ki aaj apni puri pratibha dikhane ka mauka mila hai kyunki banarasiyo ko jitna mja salah dene me aata hai dusra sayad aaisa koi kam na ho aap salah mango aur na milo aaisa ho nahi sakta aur kitne to itne bhale purush hai ki bina mange bhi salah de de aur mujhe koi shanka nhi hai ki agr nasa wale kisi banarasi se salah mange kisi vishay ko leke to sayad hi koi mana kare khair aate hai chacha ji pe to unke dusre gal ki khushi thi mere prashn ki gunvatta se chalo ladka rahul se arvind ke category me pahucha to phir thoda gambhir hoke bole ,”dkho beta ye teen to permanent hai jb nehru ji tb bhi aaj modi ji hai tb bhi baki jo chautha piller hai wo thoda temporary hai usme dalit muslim kisan hindu sab aate jis party ki jaisi sahuliyat uski waisi democracy..
Ahha mera man garv se ucha ho gya humari democracy itni flexible iska andaza aaj hua mujhe….koi bhi desh kitni hi tarakki kar le felxiblity ke mamle me bhartiyo ka koi sani nahi hai..
Humne dekha chacha ji relax mode pe aa gye hai jawab deke to humne Avilamb apna ek brahmas chora,”To Chacha sarkar iska kuch krte kyu itni purani samsya ka abhi tak samdhan nhi hua hai,road banwana to shershah suri ne hi suri kar diya tha aaj tak nhi ban paya??
Chacha ji bhadak gye,unko ummeed na thi aaisi historical sawal ki unke ego ko thes phcha waise hi jaise match harne pe kohali ji tamtama jaate hai tamtamaye huye bole,” jb economics ka gyan na ho to jyda tay tay na bola kro tmhe kya lagta hai sarkar kuch kar nhi rahi bhai itne bde dbe ghotale kya aaise hi ho gye bina kuch kiye?? Foreign se pdhke aate hai humare mantri kuch malum hai aapko??ye to desh ka durbhagya hai ki foreign me ye bizali pani ki samsya hoti nahi hai nahi to humare kabil mantri waha se kabka sikh ke aate aur yha durust kr dete..lekin tum kya jano whi bijali pani are yha log mangal pe pahuch gye ruk jao sal do sal whi se nal chala denge bharte rhna panii…
Mangal se panii wah kitni adbhut bat keh gye chach ji, gravitation ,earth rotation science physics ke sare niyamo ko tak pe rakhte huye ek pal me samadhan de diya chacha ji ne (waise insan ki ye ek sabse badi khubi hai ye ki use apne aam se jyda dusro ke angoor mithe lagte hai kyuki jitna koshishe mangal pe pani khojane ki ho rahi hai utani dharti ke pani ko bachane ki hoti to sayad nazara kuch aur hota )khair hum to thehre aam aadmi aur aam aadmi ko kya chahiye ek jhutha dilasa bus phir hum bhi prafullit man se chacha ji ke samdhan ko liye ghar ki or chal diye aur jahir se bat hai itni bdi bat kahne ke bad chacha ji bhi kha rukne wale the…..bad me pata chala abki chacha ji bhi election me khade hai hai,tb thoda si umeed jagi sayad pani mil hi jaye dharti ka na sahi mangal ka hi sahi…..