By Anshumala Mishra:
Main hu ek larki
Main bhi ek insaan
Mujhe jeene ka adhikaar do
Na aadha na kam
Mujhe putra ke saman pyaar do
ghar ka chulha nahi, na hi jhadu katka
Mujhe padhne ka adhikaar do
Main hu ek larki
Main bhi ek insaan
Mujhe jeene ka adhikaar do
Main koi satyug ki Sita nahi
Jise shak ke karan Raam ne tyag diya
Na hi Kali Das ki Vidotma hu
Na hi main Dushyant ki Shakuntala hu
Jise wo bhul jaye
Mujhe Kalpana Chawla ban kar neele gagan ko chune do
Mujhe P.T Usha ban kar desh ka gaurav ban ne do
Mujhe Indira Gandhi bankar desh ko chalana hai
Ek safalta bhari kranti ko lana hai
Keval bhog vilaas ka sadhan nahi hu main
Na hi main dwapar ki draupadi hu
Jis Devi Durga Lakshmi ko pujte ho ussi ka karte ho apmaan Lakri ko Lakshmi kehte ho
Toh fir kyu Lakshmi ko bojh samajhte.
Nahi badhenge purasho se aage
Keval sath chalne ka toh adhikaar do
Main hu ek larki
Main bhi ek insaan
Mujhe jeene ka adhikaar do